banda-parwar pahle dil par hath rakh kar dekhna
banda-parvar pahle dil par haath rakh kar dekhnā
phir kisī ke haath meñ poshīda patthar dekhnā
apne maslak meñ nahīñ yā apnī qismat meñ nahīñ
jaane vaalī har hasīñ rut ko palaT kar dekhnā
be-taġhayyur roz-o-shab meñ bhī uchaT jaatā hai dil
ek mausam dekhnā aur zindagī bhar dekhnā
aap bhī kab se musir haiñ tark-e-rasm-o-rāh par
ham bhī rakh leñge kabhī siine pe patthar dekhnā
kyā batā.eñ ahl-e-sāhil kā muqaddar hai yahī
bebasī se Dūbne vāloñ kā manzar dekhnā
is ko kyā kahiye ba-juz kotāhī-e-zauq-e-amal
apne hāthoñ kī lakīroñ meñ muqaddar dekhnā
sarsarī sī ik nazar 'afzal' na Daalo sher par
hai nazar kā kaam qatre meñ samundar dekhnā
banda-parwar pahle dil par hath rakh kar dekhna
phir kisi ke hath mein poshida patthar dekhna
apne maslak mein nahin ya apni qismat mein nahin
jaane wali har hasin rut ko palaT kar dekhna
be-taghayyur roz-o-shab mein bhi uchaT jata hai dil
ek mausam dekhna aur zindagi bhar dekhna
aap bhi kab se musir hain tark-e-rasm-o-rah par
hum bhi rakh lenge kabhi sine pe patthar dekhna
kya bataen ahl-e-sahil ka muqaddar hai yahi
bebasi se Dubne walon ka manzar dekhna
is ko kya kahiye ba-juz kotahi-e-zauq-e-amal
apne hathon ki lakiron mein muqaddar dekhna
sarsari si ek nazar 'afzal' na Dalo sher par
hai nazar ka kaam qatre mein samundar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.