banda to huzur aap ke kaam aaya bahut hai
bandā to huzūr aap ke kaam aaya bahut hai
ye bhī hai bajā aap ne Thukrāyā bahut hai
ulfat hai ki hai dil-lagī mujh ko nahīñ ma.alūm
phir chāñd mujhe dekh ke muskāyā bahut hai
duniyā mujhe suulī pe chaḌhā de to chaḌhā de
ulfat kā sabaq maiñ ne bhī dohrāyā bahut hai
ye baat bajā kī hai madad shukriyā sāhib
ehsān magar aap ne jatlāyā bahut hai
gum-sum sā ka.ī roz se dikhtā hai vo zālim
shāyad mirā dil toḌ ke pachhtāyā bahut hai
ḳhud kī bhī kabhī shakl zarā dekh leñ sāhib
ā.īnā mujhe aap ne dikhlāyā bahut hai
ab aql kā dushman jo na samjhe to na samjhe
maiñ ne dil-e-nādān ko samjhāyā bahut hai
afsos nahīñ qatl kā mujh ko mire qātil
ġham hai yahī tū ne mujhe taḌpāyā bahut hai
īmān o dharam taak pe dekho to 'akelā'
paise ke liye aadmī paglāyā bahut hai
banda to huzur aap ke kaam aaya bahut hai
ye bhi hai baja aap ne Thukraya bahut hai
ulfat hai ki hai dil-lagi mujh ko nahin malum
phir chand mujhe dekh ke muskaya bahut hai
duniya mujhe suli pe chaDha de to chaDha de
ulfat ka sabaq main ne bhi dohraya bahut hai
ye baat baja ki hai madad shukriya sahib
ehsan magar aap ne jatlaya bahut hai
gum-sum sa kai roz se dikhta hai wo zalim
shayad mera dil toD ke pachhtaya bahut hai
KHud ki bhi kabhi shakl zara dekh len sahib
aaina mujhe aap ne dikhlaya bahut hai
ab aql ka dushman jo na samjhe to na samjhe
main ne dil-e-nadan ko samjhaya bahut hai
afsos nahin qatl ka mujh ko mere qatil
gham hai yahi tu ne mujhe taDpaya bahut hai
iman o dharam tak pe dekho to 'akela'
paise ke liye aadmi paglaya bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.