bandagi ki lazzaton se aashna ho jaiye
bandagi ki lazzaton se aashna ho jaiye
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
bandagī kī lazzatoñ se āshnā ho jā.iye
ḳhud ko gar pahchāniye to kyā se kyā ho jā.iye
hāl-e-bismil dekh kar mashq-e-sitam nāvak-fagan
ishq kā to izn hī ye hai fanā ho jā.iye
in vafāoñ par bhī aisī sard-mehrī al-amāñ
banda-parvar jā.iye achchhā ḳhafā ho jā.iye
dard-e-dil ne rāz-dār-e-har-do-ālam kar diyā
ḳhaak ko ye fikr hai ab aur kyā ho jā.iye
maiñ vafā par apnī qaa.em huuñ to kyoñ ye be-ruḳhī
aap bhī ab mā.il-e-zauq-e-jafā ho jā.iye
ab to ik ik saañs par hai ḳhatra-e-tauhīn-e-ishq
mere dil kī zid ye hai vaqf-e-duā ho jā.iye
haa.e qadmoñ par jabīñ-sā.ī kī lazzat ai 'bashīr'
shauq-e-pā-bosī meñ un kī ḳhāk-e-pā ho jā.iye
bandagi ki lazzaton se aashna ho jaiye
KHud ko gar pahchaniye to kya se kya ho jaiye
haal-e-bismil dekh kar mashq-e-sitam nawak-fagan
ishq ka to izn hi ye hai fana ho jaiye
in wafaon par bhi aisi sard-mehri al-aman
banda-parwar jaiye achchha KHafa ho jaiye
dard-e-dil ne raaz-dar-e-har-do-alam kar diya
KHak ko ye fikr hai ab aur kya ho jaiye
main wafa par apni qaem hun to kyon ye be-ruKHi
aap bhi ab mail-e-zauq-e-jafa ho jaiye
ab to ek ek sans par hai KHatra-e-tauhin-e-ishq
mere dil ki zid ye hai waqf-e-dua ho jaiye
hae qadmon par jabin-sai ki lazzat ai 'bashir'
shauq-e-pa-bosi mein un ki KHak-e-pa ho jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.