bandagi mein guzar nahin hoti
bandagī meñ guzar nahīñ hotī
zindagī yuuñ basar nahīñ hotī
soz-e-dil se agar nahīñ hotī
to duā kārgar nahīñ hotī
dekhne hī kī jaan hotī hai
dil pe apne nazar nahīñ hotī
hāl-e-bātin ko aap kyā jāneñ
chashm-e-zāhir jo tar nahīñ hotī
din meñ hāzir sukūñ nahīñ hotā
chain se shab basar nahīñ hotī
bāġh-e-ulfat meñ har hasīñ ḳhvāhish
bār-dār-e-samar nahīñ hotī
parda-dārī kā is liye hai gila
rehn aql-e-bashar nahīñ hotī
vo mohabbat jo ain fitrat hai
aql par munhasar nahīñ hotī
un se rahtī hai bā-ḳhabar duniyā
jin ko apnī ḳhabar nahīñ hotī
shauq-e-parvāz ain īmāñ hai
koī ummīd par nahīñ hotī
fikr-e-manzil hai raah meñ haa.il
be-ḳhudī ham-safar nahīñ hotī
jo tajallī nazar se maḳhfī ho
vo nasīb-e-bashar nahīñ hotī
sajde do-chār hī ġhanīmat haiñ
chākarī umr bhar nahīñ hotī
shān-e-rahmat se saaf sābit hai
sādgī muḳhtasar nahīñ hotī
'shād' rahtā huuñ bazm-e-rindāñ meñ
is meñ fikr-e-sahar nahīñ hotī
bandagi mein guzar nahin hoti
zindagi yun basar nahin hoti
soz-e-dil se agar nahin hoti
to dua kargar nahin hoti
dekhne hi ki jaan hoti hai
dil pe apne nazar nahin hoti
haal-e-baatin ko aap kya jaanen
chashm-e-zahir jo tar nahin hoti
din mein hazir sukun nahin hota
chain se shab basar nahin hoti
bagh-e-ulfat mein har hasin KHwahish
bar-dar-e-samar nahin hoti
parda-dari ka is liye hai gila
rehn aql-e-bashar nahin hoti
wo mohabbat jo ain fitrat hai
aql par munhasar nahin hoti
un se rahti hai ba-KHabar duniya
jin ko apni KHabar nahin hoti
shauq-e-parwaz ain iman hai
koi ummid par nahin hoti
fikr-e-manzil hai rah mein hail
be-KHudi ham-safar nahin hoti
jo tajalli nazar se maKHfi ho
wo nasib-e-bashar nahin hoti
sajde do-chaar hi ghanimat hain
chaakari umr bhar nahin hoti
shan-e-rahmat se saf sabit hai
sadgi muKHtasar nahin hoti
'shad' rahta hun bazm-e-rindan mein
is mein fikr-e-sahar nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.