bandagi rakhiye bhala kya har kisi se
bandagī rakhiye bhalā kyā har kisī se
saare chehre lag rahe haiñ matlabī se
kab talak nārāzgī par ham manā.eñ
aaj rishta toḌ lo apnī ḳhushī se
aadmī hī aadmī kā yaar kab thā
mil rahe haiñ log sab se zyādtī se
ḳhud-kushī behad burī hai chiiz pyāre
shā.erī ko bhī milāo zindagī se
ho mubārak tum ko ye rangīn duniyā
ham ko lamhe kāTne haiñ sādgī se
bandagi rakhiye bhala kya har kisi se
sare chehre lag rahe hain matlabi se
kab talak naraazgi par hum manaen
aaj rishta toD lo apni KHushi se
aadmi hi aadmi ka yar kab tha
mil rahe hain log sab se zyaadti se
KHud-kushi behad buri hai chiz pyare
shaeri ko bhi milao zindagi se
ho mubarak tum ko ye rangin duniya
hum ko lamhe kaTne hain sadgi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.