bandh jaen saman tanaben khul jaen
bañdh jaa.eñ sāmān tanābeñ khul jaa.eñ
kaash ḳhudā par merī duā.eñ khul jaa.eñ
maiñ to bas is kī hī ḳhushī meñ jī lūñgā
gar mere iisā kī sāñseñ khul jaa.eñ
sub.h huī hai lekin abhī añdherā hai
itnā mat jaago kī ye āñkheñ khul jaa.eñ
chand lakīreñ likh paa.eñ kitnī tahrīr
ek jabīñ par kitnī shikneñ khul jaa.eñ
us ke vasl se pahle maut na aa.e aur
lā-fānī hone kī rāheñ khul jaa.eñ
bandh jaen saman tanaben khul jaen
kash KHuda par meri duaen khul jaen
main to bas is ki hi KHushi mein ji lunga
gar mere isa ki sansen khul jaen
subh hui hai lekin abhi andhera hai
itna mat jago ki ye aankhen khul jaen
chand lakiren likh paen kitni tahrir
ek jabin par kitni shiknen khul jaen
us ke wasl se pahle maut na aae aur
la-fani hone ki rahen khul jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.