bandha hai ahd-e-junun chashm-e-etibar ke sath
Interesting Fact
(Monthly: Mah-e-Nau, October, 1988)
bañdhā hai ahd-e-junūñ chashm-e-etibār ke saath
use kaho ki jiye azm-e-ustuvār ke saath
na ho sakī kabhī taufīq darguzar kī use
na chal sake kabhī ham ḳhud bhī eqtidār ke saath
faqīh-e-shahr se kahnā ki dil kushāda rakhe
milā hai mansab-e-a.alā jo iḳhtiyār ke saath
nishān-e-nāqa-e-lailā pahuñch se duur nahīñ
kabhī chalo to sahī do qadam ġhubār ke saath
tamām-umr rahā vo rahīn-e-minnat-e-ġhair
use to marnā bhī aayā nahīñ vaqār ke saath
azal se 'arsh' ik āvārgī nasīb meñ hai
havā-e-dasht ko nisbat nahīñ qarār ke saath
bandha hai ahd-e-junun chashm-e-etibar ke sath
use kaho ki jiye azm-e-ustuwar ke sath
na ho saki kabhi taufiq darguzar ki use
na chal sake kabhi hum KHud bhi eqtidar ke sath
faqih-e-shahr se kahna ki dil kushada rakhe
mila hai mansab-e-ala jo iKHtiyar ke sath
nishan-e-naqa-e-laila pahunch se dur nahin
kabhi chalo to sahi do qadam ghubar ke sath
tamam-umr raha wo rahin-e-minnat-e-ghair
use to marna bhi aaya nahin waqar ke sath
azal se 'arsh' ek aawargi nasib mein hai
hawa-e-dasht ko nisbat nahin qarar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.