bane na baat to izhaar-e-muddaa kya hai
bane na baat to iz.hār-e-mudda.ā kyā hai
jo manziloñ pe na pahuñche vo rāsta kyā hai
huā jo ġharq safīna pahuñch ke sāhil par
to nāḳhudā ko pata chal gayā ḳhudā kyā hai
isī se dahr ne paayā surāġh manzil kā
charāġh-e-rāh kyā hai merā naqsh-e-pā kyā hai
sukūñ kī chhāñv mayassar na pyaar kā saaya
hayāt ek kaḌī dhuup ke sivā kyā hai
qarīb se vo guzar jaa.e ajnabī kī tarah
maiñ sochtā huuñ ki is se baḌī sazā kyā hai
vo shaḳhs jis kī nazākat pe log marte haiñ
diloñ ko toḌ diyā us ne aa.ina kyā hai
tasavvur-e-ġham-e-jānāñ kā rāsta roke
'majīd' gardish-e-daurāñ kā hausla kyā hai
bane na baat to izhaar-e-muddaa kya hai
jo manzilon pe na pahunche wo rasta kya hai
hua jo gharq safina pahunch ke sahil par
to naKHuda ko pata chal gaya KHuda kya hai
isi se dahr ne paya suragh manzil ka
charagh-e-rah kya hai mera naqsh-e-pa kya hai
sukun ki chhanw mayassar na pyar ka saya
hayat ek kaDi dhup ke siwa kya hai
qarib se wo guzar jae ajnabi ki tarah
main sochta hun ki is se baDi saza kya hai
wo shaKHs jis ki nazakat pe log marte hain
dilon ko toD diya us ne aaina kya hai
tasawwur-e-gham-e-jaanan ka rasta roke
'majid' gardish-e-dauran ka hausla kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.