banjara ban gaya koi dar DhunDhta raha
banjāra ban gayā koī dar DhūñDhtā rahā
maiñ terī kā.enāt meñ ghar DhūñDhtā rahā
ik roz ḳhauf dil se nikālā kuchh is tarah
sar ko paTaḳhtā rah gayā Dar DhūñDhtā rahā
jab bādshah kī jaan bhī ḳhatre meñ paḌ ga.ī
maqtal ke vāste koī sar DhūñDhtā rahā
aTkī huī falak pe thī merī bhī ik du'ā
rizq-e-harām khā ke asar DhūñDhtā rahā
the dā.ere ke gird ravāñ roz-o-shab mire
uljhī rahī lakīr safar DhūñDhtā rahā
maiñ zindagī se maut kī jānib thā gāmzan
kitnā maiñ be-ḳhabar thā ḳhabar DhūñDhtā rahā
chakma diyā thā maiñ ne hī dariyā ko jā-ba-jā
bach kar nikal gayā maiñ bhañvar DhūñDhtā rahā
'mājid' na ehtisāb kiyā apnī zaat kā
mahv-e-safar rahā maiñ bashar DhūñDhtā rahā
banjara ban gaya koi dar DhunDhta raha
main teri kaenat mein ghar DhunDhta raha
ek roz KHauf dil se nikala kuchh is tarah
sar ko paTaKHta rah gaya Dar DhunDhta raha
jab baadshah ki jaan bhi KHatre mein paD gai
maqtal ke waste koi sar DhunDhta raha
aTki hui falak pe thi meri bhi ek du'a
rizq-e-haram kha ke asar DhunDhta raha
the daere ke gird rawan roz-o-shab mere
uljhi rahi lakir safar DhunDhta raha
main zindagi se maut ki jaanib tha gamzan
kitna main be-KHabar tha KHabar DhunDhta raha
chakma diya tha main ne hi dariya ko ja-ba-ja
bach kar nikal gaya main bhanwar DhunDhta raha
'majid' na ehtisab kiya apni zat ka
mahw-e-safar raha main bashar DhunDhta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.