banti hai din mein duniya aksar nigar-KHana
bantī hai din meñ duniyā aksar nigār-ḳhāna
phirtā hai jab nazar meñ guzrā huā zamāna
fard-e-amal na dikhlā kyoñ mujh ko yaad aa.e
guzrā huā zamāna bhūlā huā fasāna
sar ko qafas pe rakkhe sayyād kah rahā hai
bulbul kī jaan niklā ujḌā sā āshiyāna
un par paḌī to aise taḌpe ki phir na sañbhle
kahte the jo yahī hai duniyā kā kār-ḳhāna
ab bāġhbāñ bhī aksar hasrat se dekhtā hai
hai yādgār-e-bulbul sunsān āshiyāna
jallād tere sadqe qismat se mil gayā tū
muddat se DhūñDhtī thī merī ajal bahāna
ik lā-javāb hastī sajdoñ meñ miT chukī thī
phir qibla kyoñ na bantā 'beḳhud' kā āstāna
putlī jo phir chalī thī 'beḳhud' to ban chalā thā
chhuTtā huā zamāna miTtā huā zamāna
banti hai din mein duniya aksar nigar-KHana
phirta hai jab nazar mein guzra hua zamana
fard-e-amal na dikhla kyon mujh ko yaad aae
guzra hua zamana bhula hua fasana
sar ko qafas pe rakkhe sayyaad kah raha hai
bulbul ki jaan nikla ujDa sa aashiyana
un par paDi to aise taDpe ki phir na sanbhle
kahte the jo yahi hai duniya ka kar-KHana
ab baghban bhi aksar hasrat se dekhta hai
hai yaadgar-e-bulbul sunsan aashiyana
jallad tere sadqe qismat se mil gaya tu
muddat se DhunDhti thi meri ajal bahana
ek la-jawab hasti sajdon mein miT chuki thi
phir qibla kyon na banta 'beKHud' ka aastana
putli jo phir chali thi 'beKHud' to ban chala tha
chhuTta hua zamana miTta hua zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.