baqa ka aur fana ka moamla hai huzur
baqā kā aur fanā kā mo.āmla hai huzūr
charāġh aur havā kā mo.āmla hai huzūr
maiñ us ko mānūñ na mānūñ mujhe mile na mile
ye merā aur ḳhudā kā mo.āmla hai huzūr
ye merī tujh se mohabbat agar ḳhatā hai to phir
yahāñ pe husn-e-ḳhatā kā mo.āmla hai huzūr
ye tai huā bhī agar hogā nok-e-neza par
ye ek karb-o-balā kā muāmla hai huzūr
hai ek dil ko ijāzat yahāñ dhaḌakne kī
hathelī aur hinā kā mo.āmla hai huzūr
tabhī to sachchā ḳhudā bhī ḳhamosh hai 'ammār'
ye āstīñ kā asā kā mo.āmla hai huzūr
baqa ka aur fana ka moamla hai huzur
charagh aur hawa ka moamla hai huzur
main us ko manun na manun mujhe mile na mile
ye mera aur KHuda ka moamla hai huzur
ye meri tujh se mohabbat agar KHata hai to phir
yahan pe husn-e-KHata ka moamla hai huzur
ye tai hua bhi agar hoga nok-e-neza par
ye ek karb-o-bala ka muamla hai huzur
hai ek dil ko ijazat yahan dhaDakne ki
hatheli aur hina ka moamla hai huzur
tabhi to sachcha KHuda bhi KHamosh hai 'ammar'
ye aastin ka asa ka moamla hai huzur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.