baqa ki chah mein tu dekh be-makan na ho
baqā kī chaah meñ tū dekh be-makān na ho
zamīn terī haqīqat hai āsmān na ho
rah-e-najāt meñ manzil kī justujū kis ko
ye vo safar hai ki jis meñ kabhī thakān na ho
yahāñ sabhī kī rasā.ī to ġhair mumkin hai
ye tajrabāt kī mahfil hai bad-gumān na ho
raho ḳhilāf to duniyā se vāsta na rahe
milo to aise ki phir koī darmiyān na ho
tumhārī shah pe falak kī to Thaan lī hai magar
ye zindagī kī kahīñ āḳhirī uḌaan na ho
baqa ki chah mein tu dekh be-makan na ho
zamin teri haqiqat hai aasman na ho
rah-e-najat mein manzil ki justuju kis ko
ye wo safar hai ki jis mein kabhi thakan na ho
yahan sabhi ki rasai to ghair mumkin hai
ye tajrabaat ki mahfil hai bad-guman na ho
raho KHilaf to duniya se wasta na rahe
milo to aise ki phir koi darmiyan na ho
tumhaari shah pe falak ki to Than li hai magar
ye zindagi ki kahin aaKHiri uDan na ho
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 80)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.