barae-nam sahi saeban nahin milta
barā.e-nām sahī sā.ebāñ nahīñ miltā
ḳhulūs tujh sā kahīñ mujh ko maañ nahīñ miltā
pasand haiñ mujhe ab tak nasīhateñ us kī
ki baap jaisā koī mehrbāñ nahīñ miltā
ta'ajjub un ko hai kyoñ merī ḳhud-kalāmī par
ki mujh ko apne sivā rāz-dāñ nahīñ miltā
paroñ meñ quvvat-e-parvāz hī na ho jis ke
vo laakh chāhe use āsmāñ nahīñ miltā
nigāheñ DhūñDhtī rahtī haiñ us ke lahje ko
ġhafūr jaisā koī ḳhush-bayāñ nahīñ miltā
tamām ‘ālam-e-islām muntazir hai 'atīq'
ho jis ke siine meñ 'azm-e-javāñ nahīñ miltā
barae-nam sahi saeban nahin milta
KHulus tujh sa kahin mujh ko man nahin milta
pasand hain mujhe ab tak nasihaten us ki
ki bap jaisa koi mehrban nahin milta
ta'ajjub un ko hai kyon meri KHud-kalami par
ki mujh ko apne siwa raaz-dan nahin milta
paron mein quwwat-e-parwaz hi na ho jis ke
wo lakh chahe use aasman nahin milta
nigahen DhunDhti rahti hain us ke lahje ko
ghafur jaisa koi KHush-bayan nahin milta
tamam ‘alam-e-islam muntazir hai 'atiq'
ho jis ke sine mein 'azm-e-jawan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.