barae-pas-e-adab KHak baiTh sakti hai
barā.e-pās-e-adab ḳhaak baiTh saktī hai
tū baiThī kyoñ nahīñ jab ḳhaak baiTh saktī hai
abhī to qāfila sahrā meñ chal rahā hai miyāñ
ye baiTh jā.egā tab ḳhaak baiTh saktī hai
ḳhalā ke paar gayā hai koī savār kahīñ
uḌī hai rashk se kab ḳhaak baiTh saktī hai
vo jis ke sar pe chaḌhāyā thā ḳhāk-e-imkāñ ko
usī havā ke sabab ḳhaak baiTh saktī hai
‘ajam se aa.ī huī ek ḳhvāhish-e-ḳhāKī
ba-pesh-e-shāh-e-'arab ḳhaak baiTh saktī hai
mire hī dam se uḌī phir rahī thī sahrā meñ
maiñ uTh rahā huuñ so ab ḳhaak baiTh saktī hai
barae-pas-e-adab KHak baiTh sakti hai
tu baiThi kyon nahin jab KHak baiTh sakti hai
abhi to qafila sahra mein chal raha hai miyan
ye baiTh jaega tab KHak baiTh sakti hai
KHala ke par gaya hai koi sawar kahin
uDi hai rashk se kab KHak baiTh sakti hai
wo jis ke sar pe chaDhaya tha KHak-e-imkan ko
usi hawa ke sabab KHak baiTh sakti hai
‘ajam se aai hui ek KHwahish-e-KHaKi
ba-pesh-e-shah-e-'arab KHak baiTh sakti hai
mere hi dam se uDi phir rahi thi sahra mein
main uTh raha hun so ab KHak baiTh sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.