barahna-pa hai bhaTakti ruhon ko dudh deti hai palti hai
barahna-pā hai bhaTaktī rūhoñ ko duudh detī hai pāltī hai
phir un ke jismoñ pe qahqahe pheñktī hai chehre udāstī hai
darūn-e-dil aisā lag rahā hai koī balā hai baḌī balā hai
jo saañs letī hai aah bhartī hai baat karne pe mārtī hai
ajiib mantiq kī pārsā hai ye hijr kī shab ye hijr kī shab
lipaT ke sotī hai kis ke pahlū se kis ke pahlū meñ jāgtī hai
maiñ ḳhvāb ko chīrne kā ḳhanjar chhupā ke bistar pe leTtā huuñ
pata nahīñ kis kī muḳhbirī par ye raat jebeñ khañgāltī hai
hamāre paañv bhī jhaḌ rahe haiñ qayāmat-e-qaid-e-zindagī meñ
tumhārī aahoñ kī sho.alagī bhī hamārī zanjīr kāTtī hai
dhaḌām se gir paḌī thī mujh par ajiib hai.at kī sir kaTī ruuh
ye fāhisha ab na so rahī hai na ūñghtī hai na khāñstī hai
barahna-pa hai bhaTakti ruhon ko dudh deti hai palti hai
phir un ke jismon pe qahqahe phenkti hai chehre udasti hai
darun-e-dil aisa lag raha hai koi bala hai baDi bala hai
jo sans leti hai aah bharti hai baat karne pe marti hai
ajib mantiq ki parsa hai ye hijr ki shab ye hijr ki shab
lipaT ke soti hai kis ke pahlu se kis ke pahlu mein jagti hai
main KHwab ko chirne ka KHanjar chhupa ke bistar pe leTta hun
pata nahin kis ki muKHbiri par ye raat jeben khangalti hai
hamare panw bhi jhaD rahe hain qayamat-e-qaid-e-zindagi mein
tumhaari aahon ki shoalagi bhi hamari zanjir kaTti hai
dhaDam se gir paDi thi mujh par ajib haiat ki sir kaTi ruh
ye fahisha ab na so rahi hai na unghti hai na khansti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.