baras ke dasht-e-tamanna pe baadalon ki tarah
baras ke dasht-e-tamannā pe bādaloñ kī tarah
guzar gayā koī ḳhushbū ke mausamoñ kī tarah
maiñ vo ḳhutūt bhī tere jalā nahīñ paayā
gire the shīsha-e-dil par jo pattharoñ kī tarah
tirā paḌos bhī pā kar na khul sakī qismat
paḌī hai band tire ghar kī khiḌkiyoñ kī tarah
hai purkashish bhī bahut raas bhī nahīñ aa.ī
ye zindagī bhī hai ḳhush-rang āñchaloñ kī tarah
ajiib karb thā is saal bārishoñ meñ 'nadīm'
kisī kī yaad Tapaktī rahī chhatoñ kī tarah
baras ke dasht-e-tamanna pe baadalon ki tarah
guzar gaya koi KHushbu ke mausamon ki tarah
main wo KHutut bhi tere jala nahin paya
gire the shisha-e-dil par jo pattharon ki tarah
tera paDos bhi pa kar na khul saki qismat
paDi hai band tere ghar ki khiDkiyon ki tarah
hai purkashish bhi bahut ras bhi nahin aai
ye zindagi bhi hai KHush-rang aanchalon ki tarah
ajib karb tha is sal barishon mein 'nadim'
kisi ki yaad Tapakti rahi chhaton ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.