barasti aag mein ghar se nikal ke dekhte hain
barastī aag meñ ghar se nikal ke dekhte haiñ
ham aaj mom kī sūrat pighal ke dekhte haiñ
maqām-e-shukr hai is daur meñ bhī ahl-e-nazar
adab ke chehre pe jugnū ġhazal ke dekhte haiñ
hazār ham pe kare tanz dil kā ā.īna
na.e zamāna ke sāñche meñ Dhal ke dekhte haiñ
hamārī maañ hameñ pahchāntī hai yā ki nahīñ
vatan kī aag ko chehre pe mal ke dekhte haiñ
dimāġh apne makāñ kā bhī aaj gaḌbaḌ hai
mizāj shahr kī saḌkoñ kā chal ke dekhte haiñ
nasheb vaale jise sar uThā ke dekhte the
nishān miTte usī al-jabal ke dekhte haiñ
safar hayāt kā ik samt ho chukā hai bahut
'shafaq' train kī paTrī badal ke dekhte haiñ
barasti aag mein ghar se nikal ke dekhte hain
hum aaj mom ki surat pighal ke dekhte hain
maqam-e-shukr hai is daur mein bhi ahl-e-nazar
adab ke chehre pe jugnu ghazal ke dekhte hain
hazar hum pe kare tanz dil ka aaina
nae zamana ke sanche mein Dhal ke dekhte hain
hamari man hamein pahchanti hai ya ki nahin
watan ki aag ko chehre pe mal ke dekhte hain
dimagh apne makan ka bhi aaj gaDbaD hai
mizaj shahr ki saDkon ka chal ke dekhte hain
nasheb wale jise sar uTha ke dekhte the
nishan miTte usi al-jabal ke dekhte hain
safar hayat ka ek samt ho chuka hai bahut
'shafaq' train ki paTri badal ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.