bardasht ki hadon se mera dil guzar gaya
bardāsht kī hadoñ se mirā dil guzar gayā
āñdhī uThī to ret kā Tiila bikhar gayā
tahrīk jab jumūd ke sāñche meñ Dhal ga.ī
aisā lagā ki ḳhuun ragoñ meñ Thahar gayā
vo shaḳhs jis ne umr guzārī thī dhuup meñ
ThanDak kī jā.edād mire naam kar gayā
maiñ us ko ham-ḳhayāl samajhtā rahā magar
siine meñ iḳhtilāf kā chāqū utar gayā
pur-haul vāqi.āt ke gumbad meñ haiñ asiir
ham kyā kareñ hamārī duā kā 'asar' gayā
bardasht ki hadon se mera dil guzar gaya
aandhi uThi to ret ka Tila bikhar gaya
tahrik jab jumud ke sanche mein Dhal gai
aisa laga ki KHun ragon mein Thahar gaya
wo shaKHs jis ne umr guzari thi dhup mein
ThanDak ki jaedad mere nam kar gaya
main us ko ham-KHayal samajhta raha magar
sine mein iKHtilaf ka chaqu utar gaya
pur-haul waqiat ke gumbad mein hain asir
hum kya karen hamari dua ka 'asar' gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.