barf si raat ye masum kunwari baaten
barf sī raat ye ma.asūm kuñvārī bāteñ
dhuup ugte hī pighal jā.eñgī saarī bāteñ
muñh ko taktī rahīñ be-lafz hamārī bāteñ
aur vo tanz se bharpūr tumhārī bāteñ
us ne hālāñki taġhāful se bahut kaam liyā
phir bhī palkoñ ke diye kah ga.e saarī bāteñ
toḌ saktī haiñ tabassum kī tilismī zanjīr
ek luTte hue ehsās kī maarī bāteñ
TūTte lafz the hoñToñ kī muñDeroñ pe 'farāz'
saath detīñ bhī kahāñ tak thakī haarī bāteñ
barf si raat ye masum kunwari baaten
dhup ugte hi pighal jaengi sari baaten
munh ko takti rahin be-lafz hamari baaten
aur wo tanz se bharpur tumhaari baaten
us ne haalanki taghaful se bahut kaam liya
phir bhi palkon ke diye kah gae sari baaten
toD sakti hain tabassum ki tilismi zanjir
ek luTte hue ehsas ki mari baaten
TuTte lafz the honTon ki munDeron pe 'faraaz'
sath detin bhi kahan tak thaki haari baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.