barg pile kya hue shor-e-KHizan uThne laga
barg piile kyā hue shor-e-ḳhizāñ uThne lagā
be-sharar hī sīna-e-gul se dhuāñ uThne lagā
naam par ham ko tahaffuz ke mile itne fareb
dhīre dhīre e.atibār-e-āsmāñ uThne lagā
rahmateñ shāyad ki ham se bhī gurezāñ ho ga.iiñ
varna kyoñ is shahr se amn-o-amāñ uThne lagā
kah ke dīvāna mujhe duniyā ne rusvā kar diyā
aañkh se jab parda-e-vahm-o-gumāñ uThne lagā
baT ga.ī ik din jazīroñ meñ hamārī zindagī
aur kahānī se shu.ūr-e-dāstāñ uThne lagā
kaash pahle jāgte to dhuup meñ jalte na ham
niiñd jab TuuTī ki sar se sā.ebāñ uThne lagā
aag phir lagne lagī nafrat kī shahroñ meñ 'niyāz'
dekhiye chāroñ taraf phir se dhuāñ uThne lagā
barg pile kya hue shor-e-KHizan uThne laga
be-sharar hi sina-e-gul se dhuan uThne laga
nam par hum ko tahaffuz ke mile itne fareb
dhire dhire eatibar-e-asman uThne laga
rahmaten shayad ki hum se bhi gurezan ho gain
warna kyon is shahr se amn-o-aman uThne laga
kah ke diwana mujhe duniya ne ruswa kar diya
aankh se jab parda-e-wahm-o-guman uThne laga
baT gai ek din jaziron mein hamari zindagi
aur kahani se shuur-e-dastan uThne laga
kash pahle jagte to dhup mein jalte na hum
nind jab TuTi ki sar se saeban uThne laga
aag phir lagne lagi nafrat ki shahron mein 'niyaz'
dekhiye chaaron taraf phir se dhuan uThne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.