barham-kun-e-dil yun kabhi barham na hua tha
barham-kun-e-dil yun kabhi barham na hua tha
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
barham-kun-e-dil yuuñ kabhī barham na huā thā
hairat-asar aisā mirā aalam na huā thā
un shoḳh nigāhoñ ne taḌap aur baḌhā dī
allāh abhī dard-e-jigar kam na huā thā
ab bhī mujhe ḳhuddārī-e-jānāñ meñ nahīñ shak
pahle bhī mirā dil mutavahham na huā thā
ai pīr-e-muġhāñ us kī baqā meñ mujhe shak hai
vāqif asar-e-jām se kyā jam na huā thā
vo shoḳh mujhe dekh ke yuuñ sharm se jhuk jaa.e
jis kā sar-e-maġhrūr kabhī ḳham na huā thā
is kam-nigahī ne to mujhe maar hī Daalā
aisā asar ai pursish-e-paiham na huā thā
mash.hūr vo 'manzūr' hai jis ke liye kal tak
sarmā-e-shohrat hī farāham na huā thā
barham-kun-e-dil yun kabhi barham na hua tha
hairat-asar aisa mera aalam na hua tha
un shoKH nigahon ne taDap aur baDha di
allah abhi dard-e-jigar kam na hua tha
ab bhi mujhe KHuddari-e-jaanan mein nahin shak
pahle bhi mera dil mutawahham na hua tha
ai pir-e-mughan us ki baqa mein mujhe shak hai
waqif asar-e-jam se kya jam na hua tha
wo shoKH mujhe dekh ke yun sharm se jhuk jae
jis ka sar-e-maghrur kabhi KHam na hua tha
is kam-nigahi ne to mujhe mar hi Dala
aisa asar ai pursish-e-paiham na hua tha
mashhur wo 'manzur' hai jis ke liye kal tak
sarma-e-shohrat hi faraham na hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.