barmala husn-e-dil-awez ka qissa na suna
barmala husn-e-dil-awez ka qissa na suna
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi
MORE BYSyed Nawab Haider Naqvi Rahi
barmalā husn-e-dil-āvez kā qissa na sunā
chāk-e-dāman na dikhā 'uzr-e-zulaiḳhā na sunā
qābil-e-zikr mohabbat ke bahut se ruḳh haiñ
kār-e-vahshat ke sivā aur koī afsāna sunā
vaqt tezī se guzartā hai par aisā bhī bhī nahīñ
aaj kahtā hai bahut qissa-e-fardā na sunā
ā.ina-rū koī tā'bīr zarā dikhlā de
taaki pahchān luuñ us ko jise dekhā na sunā
kab se huuñ gosh-bar-āvāz tirī mahfil meñ
yaar dildār bas ab shikva-e-bejā na sunā
kal talak shor-e-anādil thā chaman meñ vaañ aaj
ik qayāmat se koī dil bhī dhaḌaktā na sunā
kisī jānib se chale 'rāhī' havā-e-namnāk
chāragar zikr-e-tunuk-ābī-e-dariyā na sunā
barmala husn-e-dil-awez ka qissa na suna
chaak-e-daman na dikha 'uzr-e-zulaiKHa na suna
qabil-e-zikr mohabbat ke bahut se ruKH hain
kar-e-wahshat ke siwa aur koi afsana suna
waqt tezi se guzarta hai par aisa bhi bhi nahin
aaj kahta hai bahut qissa-e-farda na suna
aaina-ru koi ta'bir zara dikhla de
taki pahchan lun us ko jise dekha na suna
kab se hun gosh-bar-awaz teri mahfil mein
yar dildar bas ab shikwa-e-beja na suna
kal talak shor-e-anadil tha chaman mein wan aaj
ek qayamat se koi dil bhi dhaDakta na suna
kisi jaanib se chale 'rahi' hawa-e-namnak
chaaragar zikr-e-tunuk-abi-e-dariya na suna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.