barpa hai ek qayamat mere dil-e-hazin mein
barpa hai ek qayamat mere dil-e-hazin mein
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
barpā hai ik qayāmat mere dil-e-hazīñ meñ
aaheñ chhipī huī haiñ andāz-e-sharmgīñ meñ
aao aur aa ke apne ruḳh se naqāb uThā do
phir zauq-e-sajda-rezī betāb hai jabīñ meñ
allāh re hamārī ye mahviyat kā aalam
gum ho ke rah ga.e haiñ ik jalva-e-hasīñ meñ
jannat kī bhī adā.eñ kausar kī bhī fazā.eñ
kyā kuchh nazar na aaya is chashm-e-nāznīñ meñ
ra.anā.iyoñ kā aalam rangīniyoñ kī duniyā
har chiiz tairtī hai ik jām-e-ātishīñ meñ
merī nigāh-o-dil meñ ab vo samā ga.e haiñ
maiñ jaise kho gayā huuñ jalvoñ kī sarzamīñ meñ
dīvāngān-e-ġham bhī hushiyār kis qadar haiñ
ḳhud phaaḌ kar garebāñ siite haiñ āstīñ meñ
us kī nazar to mil kar vāpas bhī ho chukī hai
ik dard rah gayā hai lekin dil-e-hazīñ meñ
barpa hai ek qayamat mere dil-e-hazin mein
aahen chhipi hui hain andaz-e-sharmgin mein
aao aur aa ke apne ruKH se naqab uTha do
phir zauq-e-sajda-rezi betab hai jabin mein
allah re hamari ye mahwiyat ka aalam
gum ho ke rah gae hain ek jalwa-e-hasin mein
jannat ki bhi adaen kausar ki bhi fazaen
kya kuchh nazar na aaya is chashm-e-naznin mein
ranaiyon ka aalam ranginiyon ki duniya
har chiz tairti hai ek jam-e-atishin mein
meri nigah-o-dil mein ab wo sama gae hain
main jaise kho gaya hun jalwon ki sarzamin mein
diwangan-e-gham bhi hushiyar kis qadar hain
KHud phaD kar gareban site hain aastin mein
us ki nazar to mil kar wapas bhi ho chuki hai
ek dard rah gaya hai lekin dil-e-hazin mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.