barq-e-ulfat jo tajalli se jalane nikle
barq-e-ulfat jo tajallī se jalāne nikle
to sar-e-rāh mohabbat ke fasāne nikle
kal zamāne ko sunā.eñge ye ġhazleñ merī
aaj jo haiñ mirī āvāz dabāne nikle
har nazāre meñ numāyāñ huā jalva un kā
husn jab husn-parastoñ se chhupāne nikle
aaj maare ga.e vo apnī anā ke hāthoñ
jab mujhe barsar-e-maidān bachāne nikle
bā-ḳhudā jaan se jā.eñge ye duniyā vaale
dard-e-dil ham jo unheñ apnā sunāne nikle
ek lamha thā tire vasl kā lamha is meñ
tū na samjhegā mire kitne zamāne nikle
us ko raġhbat thī na.e tarz-e-mohabbat se baḌī
mere andāz-e-mohabbat bhī purāne nikle
jab vo goyā huā tab us kī zabāñ se 'haidar'
tark-e-ulfat ke bhī kyā kyā na bahāne nikle
barq-e-ulfat jo tajalli se jalane nikle
to sar-e-rah mohabbat ke fasane nikle
kal zamane ko sunaenge ye ghazlen meri
aaj jo hain meri aawaz dabane nikle
har nazare mein numayan hua jalwa un ka
husn jab husn-paraston se chhupane nikle
aaj mare gae wo apni ana ke hathon
jab mujhe barsar-e-maidan bachane nikle
ba-KHuda jaan se jaenge ye duniya wale
dard-e-dil hum jo unhen apna sunane nikle
ek lamha tha tere wasl ka lamha is mein
tu na samjhega mere kitne zamane nikle
us ko raghbat thi nae tarz-e-mohabbat se baDi
mere andaz-e-mohabbat bhi purane nikle
jab wo goya hua tab us ki zaban se 'haidar'
tark-e-ulfat ke bhi kya kya na bahane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.