barq kahte hain kise kis ko sharar kahte hain
barq kahte hain kise kis ko sharar kahte hain
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
barq kahte haiñ kise kis ko sharar kahte haiñ
jānte ho jise āshiq kā jigar kahte haiñ
marhabā sall-e-alā zaḳhm-e-jigar kahte haiñ
chashm-e-bad-dūr isī ko to nazar kahte haiñ
aañkh bhar aatī hai jab soz-e-jigar kahte haiñ
ab bhī is aag meñ paanī kā asar kahte haiñ
kuchh vo ghabrā.e se aa kar mire ghar kahte haiñ
kyā isī ko tire nāloñ kā asar kahte haiñ
gor kuchh duur nahīñ fikr-e-masāfat kyā hai
ghar badal lene ko duniyā se safar kahte haiñ
be-ḳhudī ishq kī ye thī ki ḳhabar-dār hue
ibtidā jis kī nahīñ us kī ḳhabar kahte haiñ
phir duā ke liye lab-hā-e-jarāhat vā haiñ
kuchh tirā haqq-e-namak zaḳhm-e-jigar kahte haiñ
kuchh agar kahiye to sunñe nahīñ dete haiñ adū
baat kahne nahīñ dete vo agar kahte haiñ
jhūñTh tūfāñ na uThā abr-e-bahārī pas-e-marg
yaañ tah-e-ḳhāk bhī kuchh dīda-e-tar kahte haiñ
maut māñge se bhī piirī meñ nahīñ aatī hai
bahr-e-maqbūl-e-duā vaqt-e-sahar kahte haiñ
aañkh mujh se bhī jo mil jaa.e to maiñ bhī sun luuñ
kuchh tire tīr-e-nazar dil kī ḳhabar kahte haiñ
haa.e be-rahmī-e-sayyād satāne ko mire
noch kar kahtā hai kyā in ko hī par kahte haiñ
dīda-e-tar meñ bure lagte haiñ ḳhālī aañsū
log aulād ko jab laḳht-e-jigar kahte haiñ
ḳhāksārī se huā rang ye apnā 'sho.ala'
zard miTTī hai nazar meñ jise zar kahte haiñ
barq kahte hain kise kis ko sharar kahte hain
jaante ho jise aashiq ka jigar kahte hain
marhaba sall-e-ala zaKHm-e-jigar kahte hain
chashm-e-bad-dur isi ko to nazar kahte hain
aankh bhar aati hai jab soz-e-jigar kahte hain
ab bhi is aag mein pani ka asar kahte hain
kuchh wo ghabrae se aa kar mere ghar kahte hain
kya isi ko tere nalon ka asar kahte hain
gor kuchh dur nahin fikr-e-masafat kya hai
ghar badal lene ko duniya se safar kahte hain
be-KHudi ishq ki ye thi ki KHabar-dar hue
ibtida jis ki nahin us ki KHabar kahte hain
phir dua ke liye lab-ha-e-jarahat wa hain
kuchh tera haqq-e-namak zaKHm-e-jigar kahte hain
kuchh agar kahiye to sunne nahin dete hain adu
baat kahne nahin dete wo agar kahte hain
jhunTh tufan na uTha abr-e-bahaari pas-e-marg
yan tah-e-KHak bhi kuchh dida-e-tar kahte hain
maut mange se bhi piri mein nahin aati hai
bahr-e-maqbul-e-dua waqt-e-sahar kahte hain
aankh mujh se bhi jo mil jae to main bhi sun lun
kuchh tere tir-e-nazar dil ki KHabar kahte hain
hae be-rahmi-e-sayyaad satane ko mere
noch kar kahta hai kya in ko hi par kahte hain
dida-e-tar mein bure lagte hain KHali aansu
log aulad ko jab laKHt-e-jigar kahte hain
KHaksari se hua rang ye apna 'shoala'
zard miTTi hai nazar mein jise zar kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.