barq ke dosh pe phulon ki saf-arai hai
barq ke dosh pe phūloñ kī saf-ārā.ī hai
nudrateñ le ke gulistāñ meñ bahār aa.ī hai
ishq-e-majbūr ne jab husn kī shah paa.ī hai
gardish-e-vaqt bhī majbūr nazar aa.ī hai
raqs meñ jalva-e-be-rang kī ra.anā.ī hai
merī hastī meñ tirī zaat utar aa.ī hai
aur to koī nahīñ chashm-e-tamāshā kā mujīb
ek hairat hai jo ḳhāmosh tamāshā.ī hai
apne qadmoñ ke bharose pe milī hai manzil
vo hī bhaTkā hai jise raah kī yaad aa.ī hai
aaj har sher hai irfān-e-haqīqat 'māhir'
bil-yaqīñ tere taġhazzul kī pazīrā.ī hai
barq ke dosh pe phulon ki saf-arai hai
nudraten le ke gulistan mein bahaar aai hai
ishq-e-majbur ne jab husn ki shah pai hai
gardish-e-waqt bhi majbur nazar aai hai
raqs mein jalwa-e-be-rang ki ranai hai
meri hasti mein teri zat utar aai hai
aur to koi nahin chashm-e-tamasha ka mujib
ek hairat hai jo KHamosh tamashai hai
apne qadmon ke bharose pe mili hai manzil
wo hi bhaTka hai jise rah ki yaad aai hai
aaj har sher hai irfan-e-haqiqat 'mahir'
bil-yaqin tere taghazzul ki pazirai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.