barq-raftar hum bhi dekhte hain
barq-raftār ham bhī dekhte haiñ
tū hameñ maar ham bhī dekhte haiñ
kyā likhā hai jo paḌhte rahte ho
aaj aḳhbār ham bhī dekhte haiñ
is qadar mat burā.ī kī jaa.e
tere be-kār ham bhī dekhte haiñ
mas.ala is ko paar karnā hai
varna dīvār ham bhī dekhte haiñ
kitnā paanī hai aur kitne ashk
kyā hai me’yār ham bhī dekhte haiñ
ek bhī fāhisha nahīñ maujūd
ḳhushk bāzār ham bhī dekhte haiñ
dā.ere ko ġhalat banā.egā
us kā parkār ham bhī dekhte haiñ
barq-raftar hum bhi dekhte hain
tu hamein mar hum bhi dekhte hain
kya likha hai jo paDhte rahte ho
aaj aKHbar hum bhi dekhte hain
is qadar mat burai ki jae
tere be-kar hum bhi dekhte hain
masala is ko par karna hai
warna diwar hum bhi dekhte hain
kitna pani hai aur kitne ashk
kya hai me’yar hum bhi dekhte hain
ek bhi fahisha nahin maujud
KHushk bazar hum bhi dekhte hain
daere ko ghalat banaega
us ka parkar hum bhi dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.