barsat ho ghaTaen ho aur mai-kashi na ho
barsāt ho ghaTā.eñ ho aur mai-kashī na ho
armāñ na hoñ shabāb na ho zindagī na ho
paimāna ghūmtā hai jo āñkhoñ ke saath saath
zulfoñ ke saath saath ghaTā jhūmtī na ho
shām-e-firāq aañkh se aañsū ravāñ raheñ
ai yād-e-yār dard-e-jigar meñ kamī na ho
marne pe iḳhtiyār na jiine pe iḳhtiyār
jabr-e-hayāt uThā.eñ magar aah bhī na ho
har dam lahū se sīñchiye gulshan ko ai 'kamāl'
rangīnī-e-bahār meñ koī kamī na ho
barsat ho ghaTaen ho aur mai-kashi na ho
arman na hon shabab na ho zindagi na ho
paimana ghumta hai jo aankhon ke sath sath
zulfon ke sath sath ghaTa jhumti na ho
sham-e-firaq aankh se aansu rawan rahen
ai yaad-e-yar dard-e-jigar mein kami na ho
marne pe iKHtiyar na jine pe iKHtiyar
jabr-e-hayat uThaen magar aah bhi na ho
har dam lahu se sinchiye gulshan ko ai 'kamal'
rangini-e-bahaar mein koi kami na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.