barsat ka udhar hai dimagh aasman par
barsāt kā udhar hai dimāġh āsmān par
chhappar idhar nahīñ hai hamāre makān par
masjid meñ us ko dekh ke hairān rah gayā
tanqīd kar rahā thā jo kal tak azaan par
kāġhaz ke bāl-o-par pe bharosa na kījiye
jaanā agar hai aap ko ūñchī uḌaan par
ab tak ramaq hayāt kī paidā na ho sakī
kyā maiñ lahū chhiḌaktā rahā huuñ chaTān par
do chaar haath uḌ ke zamīñ par jo aa ga.e
tanqīd kar rahe haiñ hamārī uḌaan par
jehl-e-ḳhirad ne toḌ diiñ sab bandisheñ 'shahūd'
'nāsiḳh' kā ab ijāra nahīñ hai zabān par
barsat ka udhar hai dimagh aasman par
chhappar idhar nahin hai hamare makan par
masjid mein us ko dekh ke hairan rah gaya
tanqid kar raha tha jo kal tak azan par
kaghaz ke baal-o-par pe bharosa na kijiye
jaana agar hai aap ko unchi uDan par
ab tak ramaq hayat ki paida na ho saki
kya main lahu chhiDakta raha hun chaTan par
do chaar hath uD ke zamin par jo aa gae
tanqid kar rahe hain hamari uDan par
jehl-e-KHirad ne toD din sab bandishen 'shahud'
'nasiKH' ka ab ijara nahin hai zaban par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.