barsat ki jhaDiyon ko tum KHud hi mana lena
barsāt kī jhaḌiyoñ ko tum ḳhud hī manā lenā
jab kuchh na samajh aa.e phir ham ko bulā lenā
ik mauj machal kar jab sāhil se lipaTtī ho
tum tishna nigāhoñ ko dariyā pe jamā lenā
ai chāragaro tum bhī is ġham meñ raho shāmil
dukhte hue zaḳhmoñ kā tum bhī to mazā lenā
sochoñ meñ ḳhayāloñ meñ mahkār sī bhar denā
āñkhoñ ne jo dekhe haiñ vo ḳhvāb churā lenā
likkhe haiñ havāoñ par jo giit judā.ī meñ
un ko kabhī chāhat se hoñToñ pe sajā lenā
jo man meñ dahaktī hai din raat sulagtī hai
us aag ko jazboñ kī rim-jhim se bujhā lenā
kyoñ DhūñDte phirte ho 'sahbā' kī vafāoñ ko
mahke hue jhoñkoñ ko siine se lagā lenā
barsat ki jhaDiyon ko tum KHud hi mana lena
jab kuchh na samajh aae phir hum ko bula lena
ek mauj machal kar jab sahil se lipaTti ho
tum tishna nigahon ko dariya pe jama lena
ai chaaragaro tum bhi is gham mein raho shamil
dukhte hue zaKHmon ka tum bhi to maza lena
sochon mein KHayalon mein mahkar si bhar dena
aankhon ne jo dekhe hain wo KHwab chura lena
likkhe hain hawaon par jo git judai mein
un ko kabhi chahat se honTon pe saja lena
jo man mein dahakti hai din raat sulagti hai
us aag ko jazbon ki rim-jhim se bujha lena
kyon DhunDte phirte ho 'sahba' ki wafaon ko
mahke hue jhonkon ko sine se laga lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.