barsat pyar ki wo dhuan-dhaar kar gae
barsāt pyaar kī vo dhuāñ-dhār kar ga.e
yādoñ meñ apnī ham ko giraftār kar ga.e
phir dostī ke naam pe vo vaar kar ga.e
mansūboñ kā vo apne yuuñ iz.hār kar ga.e
dil kī zamīñ ko rauñd ke bekār kar ga.e
daulat ġhamoñ kī de ke zamīñ-dār kar ga.e
de kar fareb ham ko samajh-dār kar ga.e
aur e'tibār se yuuñ ḳhabar-dār kar ga.e
yuuñ mahfiloñ meñ jaanā tabī'at nahīñ mirī
jaanā paḌā kuchh aise vo isrār kar ga.e
do-chār pal hī aa.e ḳhushī ke the us ke baa'd
har lamha merī ziist kā dushvār kar ga.e
barsat pyar ki wo dhuan-dhaar kar gae
yaadon mein apni hum ko giraftar kar gae
phir dosti ke nam pe wo war kar gae
mansubon ka wo apne yun izhaar kar gae
dil ki zamin ko raund ke bekar kar gae
daulat ghamon ki de ke zamin-dar kar gae
de kar fareb hum ko samajh-dar kar gae
aur e'tibar se yun KHabar-dar kar gae
yun mahfilon mein jaana tabi'at nahin meri
jaana paDa kuchh aise wo israr kar gae
do-chaar pal hi aae KHushi ke the us ke ba'd
har lamha meri zist ka dushwar kar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.