barsegi kis makan mein gham ki ghaTa nahin
barsegī kis makān meñ ġham kī ghaTā nahīñ
is zahr-ḳhez vaqt kā lekin patā nahīñ
har gaam tīrgī kā huā sāmnā mujhe
shāyad mire nasīb meñ lutf-e-ziyā nahīñ
miltā nahīñ ḳhulūs se ye aur baat hai
lekin vo kuchh ḳhulūs se nā-āshnā nahīñ
pāmāl ek din meñ kare laakh koh-e-ġham
ai vaqt terī quvvat-e-bāzū meñ kyā nahīñ
dene lagī fareb guloñ ko bahār bhī
ab sāzgār-e-'ahd chaman kī havā nahīñ
har manzil-e-sitam se maiñ āsāñ guzar gayā
āñdhī meñ bhī charāġh-e-mohabbat bujhā nahīñ
'betāb' jī rahā huuñ yahāñ aur baat hai
lekin maiñ apne aap ko pahchāntā nahīñ
barsegi kis makan mein gham ki ghaTa nahin
is zahr-KHez waqt ka lekin pata nahin
har gam tirgi ka hua samna mujhe
shayad mere nasib mein lutf-e-ziya nahin
milta nahin KHulus se ye aur baat hai
lekin wo kuchh KHulus se na-ashna nahin
pamal ek din mein kare lakh koh-e-gham
ai waqt teri quwwat-e-bazu mein kya nahin
dene lagi fareb gulon ko bahaar bhi
ab sazgar-e-'ahd chaman ki hawa nahin
har manzil-e-sitam se main aasan guzar gaya
aandhi mein bhi charagh-e-mohabbat bujha nahin
'betab' ji raha hun yahan aur baat hai
lekin main apne aap ko pahchanta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.