barsi hain wo aankhen ki na baadal kabhi barse
barsi hain wo aankhen ki na baadal kabhi barse
Shafqat Tanveer Mirza
MORE BYShafqat Tanveer Mirza
barsī haiñ vo āñkheñ ki na bādal kabhī barse
andāza-e-ġham kyā ho magar dīda-e-tar se
vo chāragarī thī ki azīzoñ kī duā.eñ
lauT aa.ī haiñ mātam ke liye bāb-e-asar se
ik jabr-e-musalsal hai anāsir kī kahānī
muḳhtār kahe jaate the jab nikle the ghar se
shāyad koī manzil nahīñ is raah meñ paḌtī
vāpas nahīñ aatā koī yādoñ ke safar se
kis ishrat-e-rafta kī ye vahshat-e-asarī hai
dil Duub gayā qurb-e-shab-e-vasl ke Dar se
barsi hain wo aankhen ki na baadal kabhi barse
andaza-e-gham kya ho magar dida-e-tar se
wo chaaragari thi ki azizon ki duaen
lauT aai hain matam ke liye bab-e-asar se
ek jabr-e-musalsal hai anasir ki kahani
muKHtar kahe jate the jab nikle the ghar se
shayad koi manzil nahin is rah mein paDti
wapas nahin aata koi yaadon ke safar se
kis ishrat-e-rafta ki ye wahshat-e-asari hai
dil Dub gaya qurb-e-shab-e-wasl ke Dar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.