barson baad jo dekha usko sar par uljha joDa tha
barsoñ ba.ad jo dekhā us ko sar par uljhā joḌā thā
jism bhī thoḌā phail gayā thā rañg bhī kuchh kuchh melā thā
tum bhī jis ko dekh rahe the vo jo ek akelā thā
dublā patlā uljhā hairāñ armānoñ kā melā thā
jhiil kā shīsha niile bādal ke hoñToñ se bhīgā thā
duur talak shāḳhoñ ke nīche sabz añdherā phailā thā
bin dastak bhī khole rakkhe ham ne apne band kivāḌ
lekin haa.e bhaag hamārā koī na milne aayā thā
tum ye samjhe dekh rahī thī tum ko lekin tum kyā jaano
ruup tumhārā hī thā vaise ruup meñ kis kā saayā thā
barson baad jo dekha us ko sar par uljha joDa tha
jism bhi thoDa phail gaya tha rang bhi kuchh kuchh mela tha
tum bhi jis ko dekh rahe the wo jo ek akela tha
dubla patla uljha hairan armanon ka mela tha
jhil ka shisha nile baadal ke honTon se bhiga tha
dur talak shaKHon ke niche sabz andhera phaila tha
bin dastak bhi khole rakkhe hum ne apne band kiwaD
lekin hae bhag hamara koi na milne aaya tha
tum ye samjhe dekh rahi thi tum ko lekin tum kya jaano
rup tumhaara hi tha waise rup mein kis ka saya tha
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 71)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.