barson jo nazar tufanon ke aaghosh mein palti rahti hai
barson jo nazar tufanon ke aaghosh mein palti rahti hai
Moghisuddin Fareedi
MORE BYMoghisuddin Fareedi
barsoñ jo nazar tūfānoñ ke āġhosh meñ paltī rahtī hai
us mast nazar kī har jumbish afsāne ugaltī rahtī hai
jo tark-e-talab se pahle thā dil kā vahī aalam aaj bhī hai
ā.īna nahīñ badlā jaatā tasvīr badaltī rahtī hai
jī bhar ke use dekhā lekin ab tak ye nazar bhartī hī nahīñ
ma.asūm adā meñ rah rah kar ik baat nikaltī rahtī hai
tū mere junūñ se nālāñ hai is par to nazar kar ai nāseh
vo zulf ḳhud apne halqoñ ke andāz badaltī rahtī hai
mai-ḳhāna 'farīdī' kyā jaane kis ko na milī kis ne pī lī
sāġhar haiñ ki chalte rahte haiñ sahbā hai ki Dhaltī rahtī hai
barson jo nazar tufanon ke aaghosh mein palti rahti hai
us mast nazar ki har jumbish afsane ugalti rahti hai
jo tark-e-talab se pahle tha dil ka wahi aalam aaj bhi hai
aaina nahin badla jata taswir badalti rahti hai
ji bhar ke use dekha lekin ab tak ye nazar bharti hi nahin
masum ada mein rah rah kar ek baat nikalti rahti hai
tu mere junun se nalan hai is par to nazar kar ai naseh
wo zulf KHud apne halqon ke andaz badalti rahti hai
mai-KHana 'faridi' kya jaane kis ko na mili kis ne pi li
saghar hain ki chalte rahte hain sahba hai ki Dhalti rahti hai
- Book : Kufr-e-tamanna (Pg. 72)
- Author : Mugheesuddeen Faeeidi
- Publication : Maktaba Jamia LTD in Jamia Nagar, Delhi (1987)
- Edition : 1987
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.