barson junun sahra sahra bhaTkata hai
barsoñ junūñ sahrā sahrā bhaTkātā hai
ghar meñ rahnā yūñhī nahīñ aa jaatā hai
pyaas aur dhuup ke aadī ho jaate haiñ ham
jab tak dasht kā khel samajh meñ aatā hai
aadat thī so pukār liyā tum ko varna
itne karb meñ kaun kise yaad aatā hai
maut bhī ik hal hai to masā.il kā lekin
dil ye suhūlat lete hue ghabrātā hai
ik tum hī to gavāh ho mere hone ke
ā.īna to ab bhī mujhe jhuTlātā hai
uf ye sazā ye to koī insāf nahīñ
koī mujhe mujrim hī nahīñ Thahrātā hai
kaise kaise gunāh kiye haiñ ḳhvāboñ meñ
kyā ye bhī mere hī hisāb meñ aatā hai
barson junun sahra sahra bhaTkata hai
ghar mein rahna yunhi nahin aa jata hai
pyas aur dhup ke aadi ho jate hain hum
jab tak dasht ka khel samajh mein aata hai
aadat thi so pukar liya tum ko warna
itne karb mein kaun kise yaad aata hai
maut bhi ek hal hai to masail ka lekin
dil ye suhulat lete hue ghabraata hai
ek tum hi to gawah ho mere hone ke
aaina to ab bhi mujhe jhuTlata hai
uf ye saza ye to koi insaf nahin
koi mujhe mujrim hi nahin Thahraata hai
kaise kaise gunah kiye hain KHwabon mein
kya ye bhi mere hi hisab mein aata hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 49)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.