barson koi hamare liye jism-o-jaan raha
barsoñ koī hamāre liye jism-o-jāñ rahā
lekin vo ab fareb kā aalam kahāñ rahā
aise bhī rāstoñ se guzarnā paḌā ki bas
vo bad-gumāñ rahe kabhī maiñ bad-gumāñ rahā
hālāt ne miTā diye maazī ke sab nuqūsh
ik naam thā jo miT ke bhī vird-e-zabāñ rahā
dhuñdle se kuchh nishāñ haiñ ghaTāoñ ke dhyān meñ
ab vo rahe na duur na pīr-e-muġhāñ rahā
'āsī' diyā hai jis ne zamāne meñ apnā haq
raushan usī kā dahr meñ nām-o-nishāñ rahā
barson koi hamare liye jism-o-jaan raha
lekin wo ab fareb ka aalam kahan raha
aise bhi raston se guzarna paDa ki bas
wo bad-guman rahe kabhi main bad-guman raha
haalat ne miTa diye mazi ke sab nuqush
ek nam tha jo miT ke bhi wird-e-zaban raha
dhundle se kuchh nishan hain ghaTaon ke dhyan mein
ab wo rahe na dur na pir-e-mughan raha
'asi' diya hai jis ne zamane mein apna haq
raushan usi ka dahr mein nam-o-nishan raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.