barson se faqat ek hi daftar mein paDe hain
barsoñ se faqat ek hī daftar meñ paḌe haiñ
lagtā hai ki daftar meñ nahīñ ghar meñ paḌe haiñ
sardī hai ki jaatī hī nahīñ apne badan se
jab se tirī yādoñ ke december meñ paḌe haiñ
himmat ne to Daalī haiñ sitāroñ pe kamandeñ
buzdil to dishā-shūl ke chakkar meñ paḌe haiñ
is daur ke rahbar se mohabbat kī umīdeñ
jis daur meñ sab biij hī avsar meñ paḌe haiñ
kal-yug hai to kal-yug kī tarah jiinā paḌegā
kam-zarf haiñ vo log jo dvāpar meñ paḌe haiñ
barson se faqat ek hi daftar mein paDe hain
lagta hai ki daftar mein nahin ghar mein paDe hain
sardi hai ki jati hi nahin apne badan se
jab se teri yaadon ke december mein paDe hain
himmat ne to Dali hain sitaron pe kamanden
buzdil to disha-shul ke chakkar mein paDe hain
is daur ke rahbar se mohabbat ki umiden
jis daur mein sab bij hi awsar mein paDe hain
kal-yug hai to kal-yug ki tarah jina paDega
kam-zarf hain wo log jo dwapar mein paDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.