barson tap-e-alam ke shoalon mein tapa hun
barsoñ tap-e-ālām ke sho.aloñ meñ tapā huuñ
jab jā ke maiñ ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb banā huuñ
kal jāda-e-hastī kā maiñ ḳhud rāh-numā thā
aaj apnī hī hastī kā pata pūchh rahā huuñ
kal tak thā ziyā-bār tumheñ yaad to hogā
ye maan liyā aaj maiñ bujhtā sā diyā huuñ
hairat kī hai ye baat ki tanvīr-e-sahar meñ
maiñ aaj sitāroñ kī tarah Duub rahā huuñ
duniyā kī haqīqat ko vo samjhegā bhalā kyā
jis ko nahīñ mā'lūm ki maiñ kaun huuñ kyā huuñ
barson tap-e-alam ke shoalon mein tapa hun
jab ja ke main KHurshid-e-jahan-tab bana hun
kal jada-e-hasti ka main KHud rah-numa tha
aaj apni hi hasti ka pata puchh raha hun
kal tak tha ziya-bar tumhein yaad to hoga
ye man liya aaj main bujhta sa diya hun
hairat ki hai ye baat ki tanwir-e-sahar mein
main aaj sitaron ki tarah Dub raha hun
duniya ki haqiqat ko wo samjhega bhala kya
jis ko nahin ma'lum ki main kaun hun kya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.