bas ab duniya se parda chahti hun
bas ab duniyā se pardā chāhtī huuñ
meñ sab se duur rahnā chāhtī huuñ
sitāroñ kī tarah yā gul ke jaise
javānī meñ hī marnā chāhtī huuñ
vo ek tasvīr jo bantī nahīñ hai
usī meñ rang bharnā chāhtī huuñ
kitāboñ ko uThā kar god meñ yuuñ
maiñ koī sher kahnā chāhtī huuñ
mujhe bhī ilm hai duniyā kā saarā
maiñ dhīmī maut marnā chāhtī huuñ
bas ab duniya se parda chahti hun
mein sab se dur rahna chahti hun
sitaron ki tarah ya gul ke jaise
jawani mein hi marna chahti hun
wo ek taswir jo banti nahin hai
usi mein rang bharna chahti hun
kitabon ko uTha kar god mein yun
main koi sher kahna chahti hun
mujhe bhi ilm hai duniya ka sara
main dhimi maut marna chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.