bas ab ki yar KHamoshi ki intiha bole
bas ab kī yaar ḳhamoshī kī intihā bole
baḌhe sukūt kuchh itnā ki ḳhud ḳhudā bole
ġhalat hai pūchhnā logoñ se dāstān-e-sitam
zabāñ pe muhr lagī ho to koī kyā bole
bañdheñge band kahāñ āñdhiyoñ kī lahroñ par
kivāḌ khol do aisā na ho havā bole
jo ek ghar ke masā.il sunāne aa.e the
vo shahryār ke aage judā judā bole
sadā-e-pā hai tirī tū nahīñ qarīb magar
falak pe abr nahīñ hai magar ghaTā bole
kisī ko rabt nahīñ hai fan-e-samā.at se
ye haal ho to koī kis qadar bhalā bole
vo mujh se baat kare jab to yuuñ lage 'āsim'
ki āshnā se koī ġhair-āshnā bole
bas ab ki yar KHamoshi ki intiha bole
baDhe sukut kuchh itna ki KHud KHuda bole
ghalat hai puchhna logon se dastan-e-sitam
zaban pe muhr lagi ho to koi kya bole
bandhenge band kahan aandhiyon ki lahron par
kiwaD khol do aisa na ho hawa bole
jo ek ghar ke masail sunane aae the
wo shahryar ke aage juda juda bole
sada-e-pa hai teri tu nahin qarib magar
falak pe abr nahin hai magar ghaTa bole
kisi ko rabt nahin hai fan-e-samaat se
ye haal ho to koi kis qadar bhala bole
wo mujh se baat kare jab to yun lage 'asim'
ki aashna se koi ghair-ashna bole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.