bas apne KHwab se tabir ka saman lete hain
bas apne ḳhvāb se ta.abīr kā sāmān lete haiñ
vo sab anjān haiñ kahte jo haiñ ham jaan lete haiñ
yahī kah de tirī galiyoñ kī ham ne ḳhaak chhānī hai
tire daftar se vo aivān ke dīvān lete haiñ
havā kī mauj meñ rah rah ke aahaT terī miltī hai
tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ
añdherī raat se mahfūz rahnā ham ne sīkhā hai
Tikī hai kahkashāñ jis meñ vo chādar taan lete haiñ
kahīñ aisā na ho ham chhoḌ deñ insān kā qālib
na denā ai ḳhudā vo rizq jo haivān lete haiñ
bas apne KHwab se tabir ka saman lete hain
wo sab anjaan hain kahte jo hain hum jaan lete hain
yahi kah de teri galiyon ki hum ne KHak chhani hai
tere daftar se wo aiwan ke diwan lete hain
hawa ki mauj mein rah rah ke aahaT teri milti hai
tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain
andheri raat se mahfuz rahna hum ne sikha hai
Tiki hai kahkashan jis mein wo chadar tan lete hain
kahin aisa na ho hum chhoD den insan ka qalib
na dena ai KHuda wo rizq jo haiwan lete hain
- Book : Kimiya-e-samri (Pg. 78)
- Author : Mehdi Jafar
- Publication : Rujhan Publication (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.