bas dekhte hi dekhte sadiyan guzar gain
bas dekhte hī dekhte sadiyāñ guzar ga.iiñ
ābādiyāñ pahāḌoñ se nīche utar ga.iiñ
soche hue dinoñ ke badan-dār aa base
phir yuuñ huā ki rāteñ murādoñ se bhar ga.iiñ
bāġhīcha-e-jahān makānoñ se bhar gayā
phir aur des titliyāñ parvāz kar ga.iiñ
ham zindagī sameTte kis tarah shahr meñ
vo intishār thā ki nigāheñ bikhar ga.iiñ
ā.īne jab yaqīn ke be-āb ho ga.e
āñkhoñ se intizār kī parteñ utar ga.iiñ
sab raushnī kī bhūl-bhulayyoñ meñ kho ga.e
jitnī burā.iyāñ thiiñ añdheroñ ke sar ga.iiñ
ham rah ga.e faqīr se ta.abīr pūchhte
fasloñ ke saath TiDDiyāñ sapne bhī char ga.iiñ
ajsām phir utar na sake āsmān se
parchhā.iyāñ zamīn pe be-maut mar ga.iiñ
bas dekhte hi dekhte sadiyan guzar gain
aabaadiyan pahaDon se niche utar gain
soche hue dinon ke badan-dar aa base
phir yun hua ki raaten muradon se bhar gain
baghicha-e-jahan makanon se bhar gaya
phir aur des titliyan parwaz kar gain
hum zindagi sameTte kis tarah shahr mein
wo intishaar tha ki nigahen bikhar gain
aaine jab yaqin ke be-ab ho gae
aankhon se intizar ki parten utar gain
sab raushni ki bhul-bhulayyon mein kho gae
jitni buraiyan thin andheron ke sar gain
hum rah gae faqir se tabir puchhte
faslon ke sath TiDDiyan sapne bhi char gain
ajsam phir utar na sake aasman se
parchhaiyan zamin pe be-maut mar gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.