bas ek jism ek hi qad mein paDa rahun
bas ek jism ek hī qad meñ paḌā rahūñ
behad huuñ maiñ to kyuuñ kisī had meñ paḌā rahūñ
sub.h-e-azal hai kab se mire intizār meñ
jī chāhtā hai tāq-e-abad meñ paḌā rahūñ
ik roz tañg aa ke mujhe sochnā paḌā
kab tak maiñ apnī sohbat-e-bad meñ paḌā rahūñ
aage nikaltā jaatā huuñ maiñ apne-āp se
ab dar-guzar karūñ ki hasad meñ paḌā rahūñ
be-sūd ho gayā huuñ to hāsil kahāñ gayā
ai asal zar maiñ kaun sī mad meñ paḌā rahūñ
bas ek jism ek hi qad mein paDa rahun
behad hun main to kyun kisi had mein paDa rahun
subh-e-azal hai kab se mere intizar mein
ji chahta hai taq-e-abad mein paDa rahun
ek roz tang aa ke mujhe sochna paDa
kab tak main apni sohbat-e-bad mein paDa rahun
aage nikalta jata hun main apne-ap se
ab dar-guzar karun ki hasad mein paDa rahun
be-sud ho gaya hun to hasil kahan gaya
ai asal zar main kaun si mad mein paDa rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.