bas ek Khaali sa paikar dikhai deta hai
bas ek ḳhālī sā paikar dikhā.ī detā hai
ye kaun ḳhvāb meñ aksar dikhā.ī detā hai
bas us ke hone kā ehsās hī nahīñ hotā
kabhī kabhī vo barābar dikhā.ī detā hai
maiñ jis se miltā huuñ ik baar dekhne ke liye
bichhaḌtā haiñ to mukarrar dikhā.ī detā hai
chalo ki us pe bhī chaḌhne lagā hai hijr kā rañg
vo ab ke pahle se behtar dikhā.ī detā hai
bichhaḌ ke jaatā kahāñ hai vo aañkh khulte hī
jo mujh ko ḳhvāb meñ shab bhar dikhā.ī detā hai
ye log kaise bhī is dasht ke nahīñ lagte
sabhī kī āñkhoñ meñ ik ghar dikhā.ī detā hai
bas ek KHali sa paikar dikhai deta hai
ye kaun KHwab mein aksar dikhai deta hai
bas us ke hone ka ehsas hi nahin hota
kabhi kabhi wo barabar dikhai deta hai
main jis se milta hun ek bar dekhne ke liye
bichhaDta hain to mukarrar dikhai deta hai
chalo ki us pe bhi chaDhne laga hai hijr ka rang
wo ab ke pahle se behtar dikhai deta hai
bichhaD ke jata kahan hai wo aankh khulte hi
jo mujh ko KHwab mein shab bhar dikhai deta hai
ye log kaise bhi is dasht ke nahin lagte
sabhi ki aankhon mein ek ghar dikhai deta hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 22)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.