bas ek un ke hi aane ka intizar hua
bas ek un ke hī aane kā intizār huā
phir is ke baa'd kisī se hameñ na pyaar huā
tumhārī yādoñ kā ġham dil ke ār-pār huā
thā be-qarār ye dil aur be-qarār huā
vo mujh ko chhoḌ ga.e dūsroñ ke kahne par
chalo kisī kī to bātoñ pe e'tibār huā
tamām 'umr yahī baat ab satā.egī
vo pyaar se na mile yā mujhe na pyaar huā
kisī kī jaan ga.ī koī ban gayā qaidī
koī nazar kā koī zulf kā shikār huā
hai baat kuchh to tirī baat meñ bhī ai 'shāriq'
jo un kī bazm meñ terā bhī intizār huā
bas ek un ke hi aane ka intizar hua
phir is ke ba'd kisi se hamein na pyar hua
tumhaari yaadon ka gham dil ke aar-par hua
tha be-qarar ye dil aur be-qarar hua
wo mujh ko chhoD gae dusron ke kahne par
chalo kisi ki to baaton pe e'tibar hua
tamam 'umr yahi baat ab sataegi
wo pyar se na mile ya mujhe na pyar hua
kisi ki jaan gai koi ban gaya qaidi
koi nazar ka koi zulf ka shikar hua
hai baat kuchh to teri baat mein bhi ai 'shaariq'
jo un ki bazm mein tera bhi intizar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.