bas ek wahm satata hai bar bar mujhe
bas ek vahm satātā hai baar baar mujhe
dikhā.ī detā hai patthar ke ār-pār mujhe
mirā ḳhudā hai to mujh meñ utaar de mujh ko
ki ek umr se apnā hai intizār mujhe
maiñ lafz lafz bikhartā rahā fazāoñ meñ
mirī sadā se vo kartā rahā shikār mujhe
jo Dhaal dete haiñ parchhā.iyoñ ko patthar meñ
ab aise saḳht-diloñ meñ na kar shumār mujhe
havā kuchh aisī chalī ḳhuun ko nishāñ na milā
ġhubār-e-rāh ko taktā huuñ maiñ ġhubār mujhe
hisār-e-marg meñ ghuT jā.egī sadā terī
tū duur hai to zarā der tak pukār mujhe
bas ek wahm satata hai bar bar mujhe
dikhai deta hai patthar ke aar-par mujhe
mera KHuda hai to mujh mein utar de mujh ko
ki ek umr se apna hai intizar mujhe
main lafz lafz bikharta raha fazaon mein
meri sada se wo karta raha shikar mujhe
jo Dhaal dete hain parchhaiyon ko patthar mein
ab aise saKHt-dilon mein na kar shumar mujhe
hawa kuchh aisi chali KHun ko nishan na mila
ghubar-e-rah ko takta hun main ghubar mujhe
hisar-e-marg mein ghuT jaegi sada teri
tu dur hai to zara der tak pukar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.