bas firaq-e-yar mein jari suKHan-araiyan
bas firāq-e-yār meñ jaarī suḳhan-ārā.iyāñ
haa.e ye pur-kaif mausam aur mirī tanhā.iyāñ
bistaroñ kī silvaToñ se laḌ rahe haiñ ham yahāñ
jaane vaalā le rahā hogā kahīñ añgḌā.iyāñ
chhat kī kaḌiyoñ se mirī utre tire kitne ḳhayāl
kyā tirī dīvār par utrīñ mirī parchhā.iyāñ
dil ke mausam se rahā mashrūt har mausam mirā
kyā udāsī kī fazā.eñ kyā koī rā'nā.iyāñ
dard ko mahsūs karne kā salīqa siikh le
dekh hī saktīñ nahīñ ġham ko tirī bīnā.iyāñ
ham ki vāqif haiñ shaqī-ul-qalb 'ārif' se tabhī
hairatī haiñ dekh kar us kī karam-farmā.iyāñ
bas firaq-e-yar mein jari suKHan-araiyan
hae ye pur-kaif mausam aur meri tanhaiyan
bistaron ki silwaTon se laD rahe hain hum yahan
jaane wala le raha hoga kahin angDaiyan
chhat ki kaDiyon se meri utre tere kitne KHayal
kya teri diwar par utrin meri parchhaiyan
dil ke mausam se raha mashrut har mausam mera
kya udasi ki fazaen kya koi ra'naiyan
dard ko mahsus karne ka saliqa sikh le
dekh hi saktin nahin gham ko teri binaiyan
hum ki waqif hain shaqi-ul-qalb 'arif' se tabhi
hairati hain dekh kar us ki karam-farmaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.