bas gaya jab se aa ke tu mujh mein
bas gayā jab se aa ke tū mujh meñ
ek ḳhushbū hai chaar sū mujh meñ
aa.ina dekh ke maiñ chauñk paḌā
koī mujh sā hai hū-bahū mujh meñ
ḳhud meñ ḳhud ko kahāñ talāsh karūñ
bas tū hī tū hai chār-sū mujh meñ
ḳhud ko tārāj kar ke baiThā hai
ek vahshī lahū lahū mujh meñ
ho ke ḳhāmosh us ko suntā huuñ
hai koī mahv-e-guftugū mujh meñ
sach kahūñ aaj tak bhī zinda hai
tujh ko paane kī aarzū mujh meñ
bas gaya jab se aa ke tu mujh mein
ek KHushbu hai chaar su mujh mein
aaina dekh ke main chaunk paDa
koi mujh sa hai hu-bahu mujh mein
KHud mein KHud ko kahan talash karun
bas tu hi tu hai chaar-su mujh mein
KHud ko taraj kar ke baiTha hai
ek wahshi lahu lahu mujh mein
ho ke KHamosh us ko sunta hun
hai koi mahw-e-guftugu mujh mein
sach kahun aaj tak bhi zinda hai
tujh ko pane ki aarzu mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.