bas gulabi honTon ki muskan le kar aa gae
bas gulābī hoñToñ kī muskān le kar aa ga.e
vaqt-e-ruḳhsat ham tire armān le kar aa ga.e
muskurā kar yuuñ to ham bichhḌe magar aisā lagā
siine meñ goyā koī tūfān le kar aa ga.e
ye bahī-khātā mohabbat kā samajh se thā pare
fā.eda un ko diyā nuqsān le kar aa ga.e
un ke hoñToñ ke tabassum ko churāyā ham ne aur
apne naġhmoñ ke liye 'unvān le kar aa ga.e
ajnabī is shahr meñ ik shaḳhs apnā sā lagā
us kī āñkhoñ meñ basī pahchān le kar aa ga.e
dostī ke apne gulshan ko sajāne ke liye
saath apne phuul sā insān le kar aa ga.e
is jahāñ ko jītne ham ghar se nikle the magar
apne jalte ḳhvāboñ kā shamshān le kar aa ga.e
ḳhud se hī rishta koī ab tak nibhā paa.e nahīñ
aur tirī ummīd kā zindān le kar aa ga.e
pal do pal hī ham mile aur phir bichhaḌnā ho gayā
apne ghar pe yādoñ kā sāmān le kar aa ga.e
āzmāyā gardishoñ ne jab kabhī ḳhuddārī ko
kaise kaisoñ kā 'amit' ehsān le kar aa ga.e
bas gulabi honTon ki muskan le kar aa gae
waqt-e-ruKHsat hum tere arman le kar aa gae
muskura kar yun to hum bichhDe magar aisa laga
sine mein goya koi tufan le kar aa gae
ye bahi-khata mohabbat ka samajh se tha pare
faeda un ko diya nuqsan le kar aa gae
un ke honTon ke tabassum ko churaya hum ne aur
apne naghmon ke liye 'unwan le kar aa gae
ajnabi is shahr mein ek shaKHs apna sa laga
us ki aankhon mein basi pahchan le kar aa gae
dosti ke apne gulshan ko sajaane ke liye
sath apne phul sa insan le kar aa gae
is jahan ko jitne hum ghar se nikle the magar
apne jalte KHwabon ka shamshan le kar aa gae
KHud se hi rishta koi ab tak nibha pae nahin
aur teri ummid ka zindan le kar aa gae
pal do pal hi hum mile aur phir bichhaDna ho gaya
apne ghar pe yaadon ka saman le kar aa gae
aazmaya gardishon ne jab kabhi KHuddari ko
kaise kaison ka 'amit' ehsan le kar aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.